Kalyug ki Draputi...
Kalyug ki draupadi Ummedein tum kyu laga rhi ho,In bike hue akhbaaro se Nyay ki na aas rkho ab,in Giri hui sarkaro se Is mehfil me tera behta aansu sbko aur hasayega Suno Draupadi .....khud se ladna Tumhe bachane koi Krishna na aayega Insaan haivan Bana pada hai...kuch aise manjar bikhra hai Paap..punya me Badal Raha hai.....kuch din Aisa bhi nikhra haii Jo khud bemaut mara hai,,,,vo kya Teri Jaan bachayega Suno Draupadi....khud se ladna Tumhe bachane is Kalyug me koi Krishna na aayega Ram,Krishna sb isi desh ke ,is baat pe Shaq ab hota hai Sadhu ke rup pe daanav hai ab,,koi farq na hota hai Jo khud ke liye maun pada hai....vo kya Teri awaaz uthayega Suno draupadi khud se ladna Tumhe bachane ...koi krishna na aayega Roshni to ab mit si gyi hai....subah bhi andhere me Khul rha hai Zeher paap ka man me sbke...kuch rakt sa yu ghul Raha hai Jo Besharam yaha baitha hai....vo kya Teri aabru bachayega Suno draupadi...khud se ladna Tum...