Kalyug ki Draputi...

Kalyug ki draupadi


Ummedein tum kyu laga rhi ho,In bike hue akhbaaro se
Nyay ki na aas rkho ab,in Giri hui sarkaro se
Is mehfil me  tera behta aansu sbko aur hasayega
Suno Draupadi .....khud se ladna
Tumhe bachane koi Krishna na aayega

Insaan haivan Bana pada hai...kuch aise manjar bikhra hai
Paap..punya me Badal Raha hai.....kuch din Aisa bhi nikhra haii
Jo khud bemaut mara hai,,,,vo kya Teri Jaan bachayega
Suno Draupadi....khud se ladna
Tumhe bachane is Kalyug me koi Krishna na aayega

Ram,Krishna sb isi desh ke ,is baat pe Shaq ab hota hai
Sadhu ke rup pe daanav hai ab,,koi farq na hota hai
Jo khud ke liye maun pada hai....vo kya Teri awaaz uthayega
Suno draupadi khud se ladna
Tumhe bachane ...koi krishna na aayega


Roshni to ab mit si gyi hai....subah bhi andhere me Khul rha hai
Zeher paap ka man me sbke...kuch rakt sa yu ghul Raha hai
Jo Besharam yaha baitha hai....vo kya Teri aabru bachayega
Suno draupadi...khud se ladna
Tumhe bachane koi krishna na aayega


Mehendi...chudi ye SB choro...aatmvishwas lagalo ab
Gehne jewar ye bhi choro....veerta Dharan karlo ab
Yu bebuniyad PADI rhi to....mastak khud jhuk jaayega
Suno Draupadi..khud se ladna 
Tumhe bachane koi Krishna na aayega

Comments